Shuru kare chocolate ka business

in #business5 years ago

Hello Dosto, Main aap ko mutual fund ke baare me bata raha tha lekin uske baare me ab main aap ko apni agli post me bataunga. Filhaal main aap ko ek business ke baare me bataunga. Aaj main aap ko chocolate ka business ke baare me bataunga. Aap to jaante hi hai aaj kal diary millk aur kit kat sab ka pasandeea hai lekin bahut se log home made chocolate khana bhi pasand karte hai. 


img src

Aise me aap bhi chocolate bana ke bech sakte hai. Aap sochenge ki kaha beche? Are bhai aap online sell kar sakte hai ya fir apne aas pados ke dukaan me jaa ke baat kar sakte hai retailer ko sell kar sakte hai. Aap ke pass bahut tarika hai aap iss ko facebook, twitter aur whatsapp ke madhyam se apna parchaar kar sakte hai sab ko bata sakte hai aur jyada se jyada grahak bana sakte hai. Hai na ye ek faaydemand business. 

Kitna lagega investment

Iss me investment ki baat ki jaaye to ye to aap par depend karta hai ki aap kitni quantity me shuru me chocolate banana chahte hai. Main aap se kahunga agar aap chocolate bana sakte hai to shuru me aap kam quantity banaaye fir uska parchaar kare apna ek blog bana le to aur behtar rahega. 

Kaise kare promote

Aaj kal to sab kuch digital ho gaya hai apne aas pados ke facebook group whatsapp group me saamil ho jaayiye aur sab ko apne business ke baare me bataiye. Jyada se jyada group me jud jaayiye aur apne aas pados ke jitne dukaan hai sab se sampark kare matlab apne area me jitne dukaan hai sab se baat kare. Sab nahi to kuch maan hi jaayenge aur jaise hi business chalne lagega aur logo aate jaayenge. 

Aap ko lena hoga raw material

Chocolate banaane ke liye aap ko raw material ki jarurat padegi. Wo aap pass ke wholesale market se le sakte hai ya fir online bhi bikta hai waha se bhi aap le sakte hai. Chocolate jo banaiyega aap wo kagaz me lapet ke to nahi dijiyega na. Usko packing achhe se karna hoga aur wo samaan aap ko lena padega main usi ki baat kar raha hoon. 

Iss business ke baare me main aap ko aur bhi kuch detail bataunga lekin apni agli post me. Mujhe yakeen hai aap ko ye business idea pasand aayega. Iss ke baare me aur kuch tips dunga lekin meri agli post me isliye meri agli post ko jarur padhna. 

Coin Marketplace

STEEM 0.25
TRX 0.11
JST 0.032
BTC 62432.37
ETH 3003.22
USDT 1.00
SBD 3.78