Sikh sakte hai mobile repairing ka kaam

in #business6 years ago

Hello Dosto, Aaj ke samay me smartphone kiss ke pass nahi hai? Har koi aaj kal smartphone ka istemaal karta hai. Chahe wo buddha ho ya bachha ho sab ke pass mobile phone hote hai. Jab main bachha tha tabhi mere pass nahi they mere pass kya mere father ke pass bhi nahi they. Lekin aaj kal to bachho ke pass bhi mehnge mehnge phone hote hai yaar. 

Image Source depositphotos.com

Ye sab bataane ka mera maksad ye hai ki sab ke pass smartphone hai aur wo ek electronic gadget hai to iss ka kharab hona to tay hai. Kabhi kuch kharab ho jata hai kabhi kuch. Jinki mobile waranty me rahta hai wo service center jaate hai lekin jinki mobile waranty me nahi rahti wo nahi jaate kyo ki waha jaane par bahut jyada paise ki demand karte hai service center waale. Ye to mere aankho dekha haal hai. 

Shuru kar sakte hai mobile repairing kaam.

Mobile repairing kaam hai ye bahut hi asaan hai aur aap ek dum kam paise me hi shuru kar sakte hai iske liye bas aap ke pass dukaan hona chahye aur kuch kharcha kar mobile banane waale samaan lena padenge. Aur agar aap ke pass jyada paisa hai to mobile repairing ka service center shuru kar de. Aise me aap ko jyada kharcha karna padega aur kamayi bhi jyada hogi. 

Kaha se sikhe? 

Ab baat karte hai ki aap sikhoge kaha se mobile banane ke liye. Aap ko sayad pata na ho lekin samsung ne India me 21 technical school khole hai. Aur waha pe mobile repairing ki training di jaati hai aur aise me aap yaha se sikh sakte hai. Ye aap ko certificate bhi denge. 

Agar yaha se nahi sikhna to fir aap kisi service center par chale jaaye aur bole ki mujhe yaha kaam karna hai. Salary nahi bhi milegi to bhi chalega kyo ki aap yaha sikhne ke maksad se aaye na ki paisa kamaane ki maksad se. Waha se kaam sikh kar aap khud ka service center shuru kar sakte hai ya fir chota sa khud ka dukaan shuru kar sakte hai. 

Main ab aap ko apni agli post par bataunga ki kaise aap sikhne ke baad service center shuru kar sakte hai aur kitna tak ki kamayi hogi aap ki iss business me. 

Sort:  

To listen to the audio version of this article click on the play image.

Brought to you by @tts. If you find it useful please consider upvoting this reply.

Sneaky-Ninja-Throwing-Coin 125px.jpg
Defended (8.00%)
Summoned by @mahtabansari370
Sneaky Ninja supports @youarehope and @tarc with a percentage of all bids.
Everything You Need To Know About Sneaky Ninja


woosh

Coin Marketplace

STEEM 0.25
TRX 0.11
JST 0.032
BTC 61041.41
ETH 2947.17
USDT 1.00
SBD 3.85