Ye pension yojana apna sakte hai

in #business6 years ago

Hello Dosto, Aaj main aap ko ek pension yojana ke baare me bataunga. Dosto agar abhi se future ki chinta nahi karenge to pata chala ki budhaape me road me aa gaye ya fir bachhe ne old age home chod diya. Aisa hota hi rahta hai humare samaaj me iss me kuch naya nahi hai. Bhale hi aap ko lagta hai ki aap ka bachha aap ke saath kuch galat nahi karega lekin fir apni safety ke liye hi aap ko iss tarah ke plan lene chahye. 

Image Source Pexels.com

Kya hai ye pension yojna.

Congress ki sarkar ne hi iss yojana ki shuru ki thi jiss ka naam rakha gaya tha national pension system. Aur iss yojana me koi bhi saamil ho sakta hai chahe wo sarkari naukar ho ya fir private sector me kaam karta ho. Jo bhi chahe wo iss yojna me samil ho sakta hai. Lekin iss ke liye ek age limit bhi hai. Iss me kewal 18 se lekar 60 saale ke hi log saamil ho sakte hai. 

Minimum invest kewal 500

Iss pension yojana ka sab se achha faayda ye hai ki iss ko aap per month 500 rupya se bhi shuruwat kar sakte hai. Aur maximum koi limit nahi hai aap jitna chahe utna jyada rakh sakte hai. Main aaj aap ko 500 rupya wala plan ke baare me bataunga ki kitna saal tak kitna lagaane ke baad aap ko kitna faayda hoga. 

Aise milega aap ko faayda.

Agar aap ki job kam age me lag jaati hai. Matlab ki 21 saal ke age me agar aap kuch paisa kamaane lagte hai. To aap iss age me hi shuru kar sakte hai. Agar aap itna kama lete hai ki har mahina 500 rupya bacha lete hai to aap har mahina iss me 500 invest kar ke shuruwat kar sakte hai. Iss scheme me aap ko tab tak invest karte rahna hai jab tak ki aap ka age 60 saal na ho jaaye. 

Iss ke baad jab 60 saal pura ho jaayega aur jitna bhi fund banega uska 40% annuity kharidna jaruri hota hai. Waise agar aap ko jyada pension chahye to aap annuity me jyada paise laga sakte hai. Agar aap annuity ke baare me kuch samajh naa araha hai to ghabraaiye nahi main iss ke baare me aap ko baad me bataunga. 

Kitna faayda hoga iss ke baare me hum apni agli post me charcha karenge abhi ke liye bas itna hi. 

Sort:  

You got a 14.47% upvote from @booster courtesy of @mahtabansari370!

NEW FEATURE:

You can earn a passive income from our service by delegating your stake in SteemPower to @booster. We'll be sharing 100% Liquid tokens automatically between all our delegators every time a wallet has accumulated 1K STEEM or SBD.
Quick Delegation: 1000| 2500 | 5000 | 10000 | 20000 | 50000

You got a 14.61% upvote from @upmewhale courtesy of @mahtabansari370!

Earn 100% earning payout by delegating SP to @upmewhale. Visit http://www.upmewhale.com for details!

Coin Marketplace

STEEM 0.25
TRX 0.11
JST 0.034
BTC 63202.55
ETH 3085.17
USDT 1.00
SBD 3.85