Aise bachaaye tax

Hello Dosto, Apni pichli post me maine aap ko bahut hi achha ek investment plan bataya tha jo betiyo ke liye tha. Aaj main fir se aap ko ek investment plan bataunga. Dosto ye financial year khatam hone wala hai aur dusra financial year agle mahine se aane wala hai. Isliye tax bachaane ke liye aaj kal sabhi kahi na kahi investment karne ka soch rahe hai. Taaki apna paisa invest kar de aur fir income tax bharna na pade. 


img src

Isliye kal maine aap ko sukanya samriddhi ke baare me bataya tha. Betiyo ke liye kuch karna chahte hai to aap ko meri pichli post jarur padhni chahye. Wo post kamaal ki hai aur aap ko sayad uske baare me pata nahi hoga isliye maine wo post daali hai. Aaj bhi main aap ko ek investment plan ke baare me bataunga jiss ka naam hai national pension system. 

Ye ek pension program hai

Ji haan dosto ye ek pension wala scheme hai. Iss me abhi paisa lagaaye aap ka budhape ka sahara banega. Dekho aaj kal ke bachhe log kaha apne maa baap ke liye kuch karte hai isliye apne liye khud hi kuch kar le aap sabhi log. Agar aap ye plan me investment karte ho to aap ke liye bahut hi jyada achha rahega. 

Salana kare 1.50 lakh nivesh

Iss me aap har saal ka 1.50 lakh rupya invest kar sakte hai. Thik is se pahle wala jo post maine bataya tha usme bhi 1.50 lakh rupya tak invest kiya jaa sakta tha. Iss me faayda ye hota hai ki 80c ke tahat 1.50 lakh rupya tak exemption milti hai isliye ye faaydemand hota hai. 

Iss ke baare me aur bhi main aap ko bahut kuch batana chahta hoon lekin abhi nahi agli post me main aap ko iss ke baare me aur bhi kayi jankaariya dunga. Agar aap sach me iss me interested ho to aap meri kal ki post ko jarur padhna. Jaane se pahle main aap se ye kahunga ki agar aap betiyo ke liye kuch karna chahte hai to fir ye wala post jarur padhe. 

  1.  Betiyo ke liye kare ye
  2.  Bahut faayde hai iss policy ke
Sort:  

You got a 24.38% upvote from @minnowvotes courtesy of @mahtabansari370!

Coin Marketplace

STEEM 0.29
TRX 0.12
JST 0.033
BTC 63855.79
ETH 3113.00
USDT 1.00
SBD 4.04