Bharat ki notebandi se Nepal ko ho rahi pareshaani.

in #life5 years ago

Aap ko pata hai jab saal 2016 me humare desh me notebandi hui thi to sirf apne hi desh nahi balki Nepal me bhi hadkamp mach gaya tha. Kyo ki humare desh ki currency waha bhi bahut jyada chalti hai. Waha pe India ki currency aur Nepal ki currency dono chalti hai. Yaha to humara exchange ho gaya lekin Nepali government fas gayi. Unka puraane note ab tak badle nahi gaye hai. Ab tak unke note fase huye hai. 


Image source

Waha ke prime minister ne kaha hai ki jald se jald India ki bank kuch kare aur humare bank me jo note fase hai unhe exchange kare. Suna hai ki 5 crore se thoda kam 500 aur 1000 ke note hai waha. Ab India me band hua to waha bhi to band hona hi tha na bhai warna wo paise ka hota kya. Ab waha ki sarkar ko musibat jhelni pad rahi hai. 

India ki sarkar unka currency exchange kar hi nahi rahe hai. Ab pata nahi kyo exchange nahi kar rahe hai. Aise to riste kharab honge padoshi desh se. Lekin exchange nahi kar rahe hai iss ka bhi sayad koi reason ho sakta hai ab reason kya hai ye to mujhe pata nahi hai lekin jo bhi ho raha hai sahi nahi ho raha hai. 

Nepali govt ne ban kar diye they naye note.
Fir ek din maine suna tha ki Nepal ki government ne India ki 100 rupya se upar ke sabhi note band kar diye they. Kaha tha ki India waale kabhi bhi notebandi kar sakte hai aur jhelna fir se hume pad sakta hai iss wajah se unlogo ne note band karwa diye they. 

Lekin ab iss se waha ki business par bahut parbhaao pad raha hai. Kyo ki waha par Indian currency bahut jyada chalti thi aur jyadatar log Indian currency me hi len den karte they lekin bade note band ho jaane ki wajah se badi mushkil ho rahi hai waha pe. Lekin ab waha ki sarkar ke bus me nahi hai note jaari karna. 


Image source

Ab fir se legal karne bol rahe.  
Sunne me aaya hai ki ab India ki govt ne hi waha pe 100 se upar ke note ko legal tender nahi hai. Lekin Nepal govt karna chahte hai kyo ki waha bahut dikkat ho raha hai. Jyadatar nepali India hi kaam karne aate hai aur ab yaha se unko Indian rupees mil raha hai lekin wo apne desh me uska istemaal nahi kar paa rahe hai waha chal hi nahi raha hai bade note iss se unka bhi nuksan ho raha hai.  

Coin Marketplace

STEEM 0.36
TRX 0.12
JST 0.040
BTC 70846.59
ETH 3567.69
USDT 1.00
SBD 4.79