Bitcoin mast badh raha hai

in #life5 years ago

Bhaaiyo aaj kya kahu mujhe to kuch samajh hi nahi aa raha hai. Aaj main dekh raha hoon btc ka rate badhta jaa raha hai aur steem ka rate kam hota jaa raha hai. Akhir aisa kyo ho raha hai pata nahi lekin jo bhi ho raha hai bilkul bhi mujhe achha nahi lag raha hai. Aap ko yaad hoga kuch mahine pahle jab bitcoin 6300 ke aas pass ghoom raha tha tabhi steem ka rate 0.75+ tha aur 1 dollar jaata tha. 


Image source

Ab dekho bitcoin ka rate 5200+ ho gaya hai aur steem niche jaa raha hai. Aap hi batao ye dekh kar bura nahi lagega kya. Aap sab ko bhi dekh kar gussa aata hoga kyo sahi bol raha hoon ki nahi main. Gussa aana bhi chahye yaar jab bitcoin down jaata hai to steem kaafi tezi se down jaane lagta hai lekin jab bitcoin badhta hai to steem nahi badhta hai yaar. 

Sab se achha ye BNB coin hai pichle 1 mahine me mast badhotri hui hai iss me. Ye coin $5 ka tha aur aaj 18 ka ho gaya hai. Afsos aata hai ki maine ye coin liya nahi. Mera ek dost ne mujh se kaha tha ki ye coin le lo rate badhega iss ka lekin main to bhai steem par hi tika hua tha apne sabhi paise maine kewal steem par hi lagaye huye they. 

Mujhe laga steem ka rate tezi se badhega ye mast coin hai lekin sab kuch ulta ho raha hai. Har koi tabhi bnb le rahe they lekin maine nahi liya aur ab main bahut pachta raha hoon kaash main bhi bnb le leta to aaj mere pass double se bhi jyada ho gaye hote. 


Image source

Khair jab steem 0.20 ka tha na tabhi le lena chahye tha. Waise tabhi mere pass paisa nahi tha isliye maine liya nahi lekin agar tabhi le lete to aaj double se bhi jyada ho jaata. Ek dum 2.5 guna mast profit me rahte hum log. Kitna maja aata lekin mere pass paise nahi they kyo ki mere sabhi paise pahle se hi steem me fase huye hai. Jitne paise they mere pass wo sab maine steem me hi lagaya hua hai. 

Main trading kar raha tha wo bhi maine band kar di. Iss me mujhe koi faayda najar nahi aaya mujhe bas baar baar loss hota tha isliye maine trading karna bhi band kar diya hai. Lekin fir se trading karne ki soch raha hoon main jab mere pass paisa hoga to main ek baar fir se trading shuru karunga. Abhi to nahi hai mujhe paise ka kaam tha isliye main kam rate me hi sell kar ke nikaal diye ab kar bhi kya sakte they paise ki jarurat pad jaati hai kabhi kabhi. 

Sort:  

You got a 68.62% upvote from @minnowvotes courtesy of @akshaykumar12257!

Coin Marketplace

STEEM 0.30
TRX 0.11
JST 0.033
BTC 64320.07
ETH 3154.23
USDT 1.00
SBD 4.34