BSNL dega free me ye suvidha

in #life5 years ago

Bhaaiyo aap logo ne BSNL ki broadband service bsnl bharat fiber ke baare me to suna hi hoga. Jio ke aisi service laane ke baad bsnl ne bhi iss service ki shuruwat ki thi. Iss service me grahko ko 1.10 rupya me 1 gb data diya jaata hai. Itna achha faayda mil raha hai aur kya chahye aap log hi batao. Iss me aap ko har roj ka 35 gb data diya jaata hai. 


Image source

Jio ke plan ke baare me mujhe nahi pata hai lekin bsnl me kaafi sasta me mil raha hai. Har roj ka 35 gb data milega wo bhi 1 rupya per data ka liya jaa raha hai ye kam nahi hai to aur kya hai. Broadband ka yahi faayda hota hai iss me sasta me data jyada milta hai aur circle par depend karta hai sab circle me achha nahi chalta hai lekin bahut se circle me net kaafi achha chalta hai. BSNL ab kam log use kar rahe hai isliye ye achha chalega hi. 

Ab milega ek aur faayda.
BSNL ne apne grahko ko ek bahut badi khush khabri di hai. Jo bhi bsnl ka ye bharat fiber service leta hai usko amazon prime membership bhi di jaayegi. Basarte iss me aap ko 777 rupya se adhik ka recharge karna padega. Iss se kam waala plan lenge to aap ko ye service nahi milega. Itna ka recharge jo karega usko badhiya faayda mil jaayega. 

Kya hai iss service ki khaas baat.
Amazon prime subscription sayad 999 rupya ka milta hai iss me bahut se faayde hote hai sab se bada faayda ye hai ki amazon prime video bhi aap iss se dekh sakte ho aur kuch bhi samaan aap order karte hai to aap ko fast delivery milegi. Iss ke alawa ye bhi faayda hai ki kabhi bhi agar discount aata hai kisi samaan me to sab se pahle prime members waale order kar sate hai uske baad bachega tab dusre karenge. 


Image source

Mera kaam jio se ho jaata hai main usme ek baar 400 tak ka recharge karo aur 3 mahina araam karo. Ye broadband service unke liye hai jinke ghar me kayi log internet ka istemaal karte hai. Bas wifi le lo aur connect kar do jitne phone hai sab ek saath connect ho jaayenge isliye iss ka faayda hota hai unke ghar me. 

Lekin mere ghar me iss ka koi faayda nahi hai kyo ki main akela net istemaal karta hoon aur mere liye 2 gb data bhi daily ka bahut hai fir main daily ka 35 gb data leke kya karunga isliye mere liye ye sahi hai. Lekin aap chahe to ye service le sakte hai iss se achha aap ko service aur koi nahi dega jio bhi badhiya hai lekin bsnl aap ko jyada sasta padega aur speed bhi achhi milegi.  

Sort:  

To listen to the audio version of this article click on the play image.

Brought to you by @tts. If you find it useful please consider upvoting this reply.

Coin Marketplace

STEEM 0.29
TRX 0.12
JST 0.033
BTC 63318.34
ETH 3108.17
USDT 1.00
SBD 3.97