Charge me laga ke na use kare mobile

in #life5 years ago

Bhaaiyo aaj kal earphone laga ke log raat me so jaate hai aur mobile ko charge me bhi laga chod dete hai. Charge me mobile laga ke kabhi bhi uska istemaal nahi karna chahye. Mobile ka battery jaldi down ho jaata hai iss wajah se aaj kal ke log charge me laga ke mobile ka istemaal karte hai. Kayi dosto ko to maine khud pubg khelte huye dekha mobile charge me laga ke. 


Image source

Aisa bilkul bhi nahi karna chahye maine unko samjhaya ki bhai mobile ko charge me laga ke istemaal mat karo ye risky hota hai. Aise me aap ka smartphone udd sakta hai aur earphone laga rakho to current bhi aa sakta hai. Ye current itna bhayanak hoga ki sidha mout ho jaayegi. Iss wajah se main aap se kahna chahta hoon ki kabhi bhi smartphone ko charge me laga ke uska istemaal na kare warna aap ki jaan ki khatra ho sakta hai. 

Aisa sirf ek hi baar nahi maine kayi baar news me suna hai. Iss tarah ki ghatnaaye hoti rahti hai. Kayi baar smartphone blast hota hai to jyadatar charging ke samay hi blast hota hai. Iss wajah se charge me laga ke mobile ka istemaal karna nahi chahye aap ki jindagi se kimti aur kuch ho sakti hai kya. 

24 saal ki ek aadmi ki hui mout.
Aaj hi maine news me dekha ek banda jo raat me mobile charge me laga ke aur earphone laga ke raat ko soya tha aur subah mout ki haalat me paaya gaya ek baar banda soya uske baad fir wo utha hi nahi. Police waalo ka manna hai ki earphone me current aane ki wajah se uski mout hui hai. Aisa news bahut suna hai maine isliye iss par dhyaan rakhe. 


Image source

Aap ke bachhe ya fir dost wagera koi smartphone ka istemaal karta hai to unko samjhaaye ki aisa kaam na kare. Ye risky hai aap ki jaan jaa sakti hai. Charge me laga ke phone ka istemaal karna hi nahi chahye. 

Aap khud google me news search kar sakte hai ek bande ki mout ho gayi hai. Wo banda India ka nahi Thailand ka tha. Ye koi choti news nahi hai isliye trending kar rahi hai sab koi bach ke rahe iss tarah ke kaam na kare warna aap ko dikkat ho sakti hai. Mera kaam tha batana maine aap ko bata diya. 

Coin Marketplace

STEEM 0.35
TRX 0.12
JST 0.040
BTC 70733.96
ETH 3563.16
USDT 1.00
SBD 4.76