Jarurat se jyada sona bhi nahi

in #life5 years ago

Kayi aise log hote hai jin ke pass koi kaam dhandha nahi hota to bas apna pura samay so kar hi bitaate hai. Aaj kal ke naujawan bhi jyada samay so ke hi bitaate hai. Pahle main bhi soya karta tha lekin itna jyada nahi ki nuksaan ho. Waise adhiktar samay mera computer me hi gujarta hai. Jyada computer chalana to jyada sone se bhi jyada khatra paida karta hai. lekin aaj computer ka nahi jyada sone se kya dikkat hai wo main aap ko bataunga. 


Image source

Sardi ka mausam bhi chal raha hai aise me log jaldi sote hai lekin uthte jaldi nahi hai. Wahi garmi me late se sote hai lekin jaldi uth to jaate hai lekin sardi me jaldi neend bhi aa jaati hai aur late se neend khulti hai. Lekin bhai log jyada sona sehat ke liye achha nahi hota hai. 

Jyada sone se mout bhi ho sakti hai.
Ek report me dawa kiya gaya hai ki agar ek adualt 6 se 8 ghanta aur agar iss se jyada sota hai to usko heart ki bimari ho sakti hai aur iss ke alawa uski mout bhi jaldi ho sakti hai. Waise neend lena bahut jaruri hai lekin jyada neend sehat ke liye sach me sahi nahi hai aur kam neend lena bhi sehat ke liye bahut hanikarak hota hai. 

Jyada sone se dil ki bimari hoti hai aur iss se aap ki jindagi bhi kam ho sakti hai. Maan ke chalo ki aap 10 saal me marne waale ho lekin jyada soge to aap 5 saal me hi mar sakte hai. Aap ko meri baat jhuth lag rahi hogi lekin aap google kar sakte ho. Waha aap ko saari jankaari achhe se mil jaayegi main to bas aap ko bata raha hoon ki jyada sona sahi nahi hai. 

Jyada computer istemaal karna bhi sahi nahi.
Aap ko pata hai main bhi bahut computer istemaal karta hoon iss wajah iss baare me mujhe bahut achhe se pata hai. Main to apne aap ko rok nahi paa raha hoon lekin aap apne aap ko rok sakte hai meri ye pareshaani jaan kar. Ye dekhiye ye sab mere saath aam ho gayi hai. 


Image source

  • Har roj kamar me dard
  • Ghutno me hamesha dard rahta hai
  • Aankh thaka thaka sa lagta hai
  • Aankh se paani girta hai kabhi kabhi
  • Full body me pain hote rahti hai

Samajh gaye honge bhai aap ye saari problem ho rahi hai mere saath. Yadi aap bhi jyada computer chalaate hai to aap aise problem ko face karte honge. Main to har roj face kar raha hoon lekin fir bhi meri adat choot nahi rahi hai. Ek dum pc ka addicted ho gaya hoon main. 

Sort:  

Congratulations @akshaykumar12257! You have completed the following achievement on the Steem blockchain and have been rewarded with new badge(s) :

You made more than 5000 upvotes. Your next target is to reach 6000 upvotes.
You received more than 6000 as payout for your posts. Your next target is to reach a total payout of 7000

Click here to view your Board
If you no longer want to receive notifications, reply to this comment with the word STOP

To support your work, I also upvoted your post!

Support SteemitBoard's project! Vote for its witness and get one more award!

Congratulations @akshaykumar12257! You have completed the following achievement on the Steem blockchain and have been rewarded with new badge(s) :

You published a post every day of the week

Click here to view your Board
If you no longer want to receive notifications, reply to this comment with the word STOP

Support SteemitBoard's project! Vote for its witness and get one more award!

Coin Marketplace

STEEM 0.36
TRX 0.12
JST 0.039
BTC 69965.85
ETH 3540.49
USDT 1.00
SBD 4.71