Kal mere shahar me hai match

in #life5 years ago

Bhaaiyo kal ka match mere shahar me hoga main Ranchi se hoon aap logo ko maine pahle bhi bataya hua hai. Ranchi bahut hi chota shahar hai kayi logo ko to iss ka naam bhi pata nahi hai. Maine facebook me kuch online dost banaaye they dusre city ke unko jab maine bataya ki main ranchi me rahta hoon to kahte hai kaha hai ranchi. Bataiye logo ko ranchi ka bhi nahi pata hai ki kaha hai. 


Image source

Kya aap ko pata tha ranchi ke baare me? Mera matlab kabhi pahle suna tha ki nahi ranchi ka? Koi baat nahi yadi nahi suna to abhi aap logo ne sun liya na. Sayad aap ko pata nahi lekin ek aur baat batata hoon main aap ko. Dhoni ko to aap sabhi log jaante hi ho na ye banda bhi ranchi ka hi hai. Ranchi me hi paida hua aur yahi pe iss ka home town hai. 

Dhoni ki wajah se jaante hai ranchi ko.
Logo ko batata hoon ki dhoni ke shahar se hai tab logo ko pata chalta tha ki achha yaha se ho. Aisa kahte they wo, Kal dhoni apne hi shahar me khelne wala hai. Kal ka pura stadium bhara hua hoga aur sab log dhoni dhoni chilaate huye najar aayenge kal ka match dekhna aap. Dhoni ne agar 10 run bhi bana diye to log usko hi man of the match kah denge aur bas dhoni dhoni hi chilaayenge. 

Pahle pasand they mujhe.
Aisi baat nahi hai ki mujhe Dhoni pasand nahi hai. Humare shahar ka naam uchaa kiya hai bhai pasand kaise nahi. Lekin yaar ab ye buddha ho chuka hai ab run nahi bana paata hai. Isliye main kahta hoon ab iss bande ko retirement le leni chahye. Aap ko nahi lagta ki main sach bol raha hoon. 

Sab chij ka apna waqt hota hai aur apne waqt me iss bande ne bahut kuch kiya hai. Apni batting se sab ko khush kiya hai kaafi fan following bana li hai lekin ab ye apni fan following kho raha hai. Ab iss se run nahi banta hai Jab 20 match me 1 match me ye banda maar deta hai kuch run to sab chillaane lagte hai pura social media me bas dhoni dhoni hi hone lagta hai. 


Image source

Are bhai mujhe cricket khelna nahi aata lekin agar mujhe batting do to 10-15 match me main bhi ek inning me achha run maar hi lunga. Waisa hi dhoni ka hai ek match me run bana deta hai to sab khush ho jaate hai aur kahne lagte hai social media me ki kon hai jo dhoni ko old bol raha tha dhoni ki badshahiyat abhi bhi kaayam hai. 

Ab kon samjhaaye in logo ko. Selector ko hi kuch sochna chahye yaar dusre player bechaare faltu baithe hai dhoni ki wajah se usko mauka nahi de rahe hai. Mujhe to lagta hai 2019 ke world cup ke baad 2023 ka world cup me bhi jarur najar aayenge apne dhoni. Aap ko bhi aisa hi lagta hai kya. Mujhe to lagta hai uske fans log usko retire hone nahi denge fir se bolenge khelne ke liye. 

Sort:  

To listen to the audio version of this article click on the play image.

Brought to you by @tts. If you find it useful please consider upvoting this reply.

Coin Marketplace

STEEM 0.36
TRX 0.12
JST 0.039
BTC 69965.85
ETH 3540.49
USDT 1.00
SBD 4.71