SBI ne withdraw limit kam kar di

in #life5 years ago

Bhaaiyo aap ko bhi state bank of India ki taraf se ek message aaya hoga na? Mujhe bhi ek message aaya hai jiss me usne bataya hai ki wo debit card se withdraw limit kam kar rahi hai. Pahle withdraw limit 40,000 tha lekin ab daily withdraw limit 20,000 ho jaayega. Sab ke mobile me ye message aa raha hai. SBI ne Classic cards aur Maestro cards ki limit kam kar di hai. 


Screenshot Source

Agar aap bhi ye dono me se koi ek card ka istemaal karte hai to ab aap daily 20k se jyada nahi nikaal sakte hai isliye iss baat ko dhyaan me rakhe. Aisa SBI ne kyo kiya hai ye to mujhe pata nahi hai bhai log. Waise daily ka 40k koi nikaalta bhi nahi hai classic aur maestro card waale. 

Aap nikaalte honge ye to mujhe pata nahi, Main to itna kabhi nahi nikaalta. Lekin yaar ab insaan ki jarurat sayad kisi din jyada paise ki jarurat pad jaaye aur raat ka samay ho tab to aap ko debit card se hi nikaalna padega na aur jyada paise chahye honge to fir aap kaise nikaal sakte ho. Aise me aap chahe to apna card upgrade karwa sakte hai. 

SBI waale bahut saare debit card dete hai aap dusra koi card le sakte hai. Sbi ka ek card hai jiss ka naam Silver International Card hai.


Image Source

Mere pass bhi yahi wala card hai iss me aap 40k tak daily ka withdraw kar sakte hai aur iss ka charge bhi jyada nahi hai. Iss ka charge kewal 150 rupya yearly hai. Iss ka naam to international hai lekin maine kabhi international shopping wagera ke liye iss ka istemaal kabhi kiya nahi hai. Aur na hi main kabhi India se baahar gaya hoon. 


Sort:  

To listen to the audio version of this article click on the play image.

Brought to you by @tts. If you find it useful please consider upvoting this reply.

You got a 9.33% upvote from @upmewhale courtesy of @akshaykumar12257!

Earn 100% earning payout by delegating SP to @upmewhale. Visit http://www.upmewhale.com for details!

Coin Marketplace

STEEM 0.36
TRX 0.12
JST 0.039
BTC 69965.85
ETH 3540.49
USDT 1.00
SBD 4.71