Thukra diya ICC ne ye offer

in #life5 years ago

Aap ko yaad hai kuch din se ye baat chal rahi hai ki India pakistan ke saath world cup wala match nahi khelega. Iss par BCCI ne socha kyo na ICC ko letter likh kar ye kaha jaaye ki Pakistan ko match se ban kar do. Mujhe ye samajh nahi aayi wo ban kyo karenge yaar. Koi wajah hi nahi hai ban karne ka. Yadi India ko nahi khelna unke saath match to fir iss par ICC kya kar sakta hai. 


Image source

ICC ne thukra diya ye prastaao.
Aaj hi maine news me dekha jo BCCI ne prastaao diya tha Pakistan ko ban karne ka wo ICC ne thukra diya hai. Aur thukrana bhi chahye ye kaam unka nahi hai wo bina kisi wajah se ban nahi kar sakte hai. Main to pahle hi kaha tha ki ye baat ICC kabhi bhi nahi maanega aur bilkul waisa hi hua hai nahi maane wo ye baat aur iss ko thukra diya. 

Sachin ko desh drohi kah diya tha.
Aap ko pata hai zee news ke news anchor arnab ne sachin ko desh drohi bol diya tha. Wo isliye kyo ki sachin ne kaha tha hume bina match khele pakistan ko 2 number nahi dena chahye.
Main aap ko bata du agar hum match nahi khelte hai to fir Pakistan ko winner ghosit kar diya jaayega aur 2 number unhe match khele bina hi de diya jaayega. Isi par Sachin ne kaha tha bina match khele 2 number mat do. Hum hamesha Pakistan ke khilaaf achha pardarshan karte hai aise me hume unhe faltu me apne number gawaane nahi chahye. 


Image source

Bas isi baat kar arnab ne sachin ko desh drohi bol diya. Usne kaha ki sachin desh drohi hai aur pakistan ke saath khelna chahte hai. Iss par kaafi bahas bhi hui thi aap ko sayad pata hoga. Itna hi nahi kayi logo ke nishaane me aa gaye they sachin aur kayi logo ne usko khari khoti suna di. 

Batao banda jiss ne apni jindagi India ke liye khelne me nikaal diya. Apne desh ko itna aage pahuchaya sport me uss bande ko aaj sab desh drohi bol rahe hai. Yaar match khelne se kya hota hai waise bhi ek na ek din khelenge hi. Abhi faltu me match na khel kar koi faayda to hai nahi ulta humara nuksaan hi hai to fir hum match kyo nahi khele aap hi batao. Main to iss match ka kayi saal se intezaar kar raha hoon. 

Sort:  

You got a 25.64% upvote from @minnowvotes courtesy of @akshaykumar12257!

You got a 23.92% upvote from @minnowvotes courtesy of @akshaykumar12257!

Coin Marketplace

STEEM 0.26
TRX 0.11
JST 0.032
BTC 64615.49
ETH 3112.63
USDT 1.00
SBD 3.84