VPN aur proxy bhi ban

in #life5 years ago

Bhaaiyo sab se pahle jio ne porn site ban ki, sab se pahla pahal jio ne hi kiya tha fir airtel fir ab to sabhi telecom company waalo ne porn site ban kar diya hai. Ek tarah se achha hi hua ki porn ban kar diya gaya bachhe bigad rahe they aur India hamesha porn dekhne me top 10 me aata hai waise India ki population bhi jyada hai lekin Pakistan ki to kam hai abaadi lekin fir bhi wo hamesha top 10 me aate hai. 


Image source

Jab se porn ban hua tab se logo ne VPN ka istemaal kar ke porn dekhna shuru kar diya. Lekin kya aap ko maloom hai ab VPN bhi band kar diya gaya hai. Nahi bhai main nahi dekhta ye sab chije mujhe ye sab dekhne ka samay hi nahi milta hai padhaayi me busy aur thoda time mile to kamaane me busy ho jaata hoon. 

Proxy website block kar rahi jio.
Haan bhaaiyo sahi sun rahe ho aap jio proxy site ban kar rahi hai aur VPN ka istemaal nahi ho raha hai Jio me. Aaj hi maine Hoxx google chrome extension daal kar dekha tha lekin kaam nahi kiya. Koi website khul hi nahi raha hai. Pahle log porn dekhte hai they IP address change kar ke lekin ab to VPN kaam bhi nahi karega tof ir bhai faayda kya. 

Ye dekhiye reddit ka ye post padhiye aap. Click Here 

Yaha aap ko pata chalega ki sirf proxy hi nahi aur bhi bahut kuch jio block kar raha hai jaise ki download aur upload waali site aur torrent wagera. Mujhe to lagta hai jio ke ye sab block karne se wo apne customer kho sakta hai. Lekin jaise jio ne porn ban kiya tha fir sabhi ne porn ban kar diya waise hi sayad iss pahal ke baad baaki ke telecom waale bhi aisa hi kare. 

Ab ye dekhne interesting hota hai ki baaki ke company ye vpn sites ban karte hai ki nahi. Mujhe to lagta hai wo bhi kar sakte hai agar iss ne kiya hai to aur agar nahi karenge to ho sakta hai jio ke customer kam ho jaaye kyo ki humare desh me porn dekhne waalo ki kami nahi hai yahi wajah hai ki hamesha top 10 me aata hai.  


Image source

VPN aur proxy illegal nahi hai India me.
Aap ko pata hai humare desh ke kanoon ke tahat vpn aur proxy illegal nahi hai. Koi bhi inka istemaal kar sakta hai, Pata nahi jio waale aisa kyo kar rahe hai. Proxy sirf porn ke liye nahi bahut se kaam ke liye istemaal hota hai main bhi kabhi kabhi proxy ka istemal karta hoon apne kuch kaam me. Mujhe lagta hai jio ne ye sahi nahi kiya hai aur aap ka kya raay hai iss baare me niche comment kar ke jarur bataaye. 

Coin Marketplace

STEEM 0.25
TRX 0.11
JST 0.033
BTC 63014.19
ETH 3071.72
USDT 1.00
SBD 3.83