Pickle shop

in #pickle5 years ago

Aaj main achaar lene ke liye gaya hua tha waha tarah tarah ke rang birange achaar dekhne ko mile. Ek nahi kayi tarah ke achaar they main to aam ka achaar lene gaya tha lekin mujhe nahi pata tha ki duniya me itne saare chijo ka achaar banta hai. Sach me yaar itne itne achaar dekh kar samajh nahi aa raha tha kon kon sa lu aur kon sa achha lagega khaane me. Maine to bas aam ka achaar hi khaaya aur ek wo gaajad wagera sab milaa ke achaar rahta hai na ek wo wala khaaya hai maine lekin yaha par bahut saare achaar they.  

Mujhe pata bhi nahi tha ki english me achaar ko pickle kahte hai ek dost ne bataya mujhe ki isko pickle kahte hai. Khair kuch bhi ho jo bhi hai sahi hai khaane me to achha hi lagta hai. Achaar aap log khaate ho ki nahi ye khaane ke saath me thoda sa liya jaata hai aur chaat chaat ke khaaya jaata hai. Bahut hi majedaar hota hai main to khaata hoon aur main bas aam ka hi achaar khaata hoon. 

Pahle meri mummy achaar leke aaya karti thi lekin aaj mummy ne bola yaha achaar milta hai jaa ke le aana. Main gaya to dekha yaha sirf aam ka nahi bahut hi chijo ka achaar banta hai. Main 2 achaar liya ek mirchi ka aur ek aam ka achaar liya. Baaki ka bhi socha lunga lekin baad me aur bahut jyada tha yaar kon kon sa leta mujhe samajh me nahi aa raha tha. 

Alag alag achaar ke alag alag rate they. Aam ka achaar kayi parkar ka tha aur sab ka alag alag rate bhi tha. Usne sirf 6 parkaar ke mujhe aam ke achaar dikhaaye. Main jo wala leta tha wo wala liya aur ek dusra aam ka achaar liya usi bande ne kaha ye wala jyada bikta hai ye khaa ke dekho maine socha chalo ye bhi le lete hai dekha jaayega kaisa lagta hai khaane me isliye maine wo bhi le liya. 

Ek maine mirchi ka bhi achaar liya hai. Jo iss sentence ke niche me achaar dikh raha hai na aap ko main usi ki baat kar raha hoon. Ye shimla mircha hai isko idhar shimla mircha hi kahte hai pata nahi kyo par sayad iska naam yahi hai aur isko english me kya kahte hai mujhe nahi pata lekin iska achaar bhi bahut achha lagta hai isliye main iska achaar bhi khaata hoon. Aur bhi kayi parkaar ke achaar they niche dekho aap. 

Ye dekh sakte ho aap sabhi log kitne tarah ke achaar hai yaha par. 

)

Dekha na aap logo ne kitne parkaar ke achaar hai kya aap logo ne ye achaar khaaye hai ki nahi. Isme se bas 2 hi achaar main khaaya hoon. Mujhe sach  me nahi pata tha yaar ki itne saare achaar hote hai. Waise bhai log aap ko maloom hai kya ki angrej log achaar khaate hai ki nahi. Angrejo ko ye achaar pasand aata hai ki nahi aur unke yaha ye sab milta hai ki nahi milta hai. 

Aap ko pata ho to mujhe niche comment kar ke jarur bataaye mujhe bhi janna hai ki wo log khaate hai ki nahi khaate hai. Bas aise hi jaanna hai koi jaruri nahi hai. 

Sort:  

Hello. Currently there are a lot of curation groups and whales curating amazing content, there's no need to buy votes. The downvote you received is to discourage the buying of votes from bidbots. We kindly invite you to join us on the #NewSteem attitude, where good content receives votes and the organic content get the most attention. Buying votes hurts you, other authors and the Steem Ecosystem in general, please don't do it.

You got a 87.57% upvote from @minnowvotes courtesy of @amrishraj!

Coin Marketplace

STEEM 0.26
TRX 0.11
JST 0.034
BTC 63418.73
ETH 3094.09
USDT 1.00
SBD 3.89