Ethereum kya hai Bitcoin pakistan

in #bitcon6 years ago

Ethereum kya hai? What is Ethereum? in Urdu
Is se pehle k aap Ethereum ko samjhne ki koshish karen ye samjhna zaroori hai k Internet kaise chalta hai.

Aap ki zaati maloomaat jese k passwords, messages, emails, maali maloomat zaati computers, doosron k computers, mobile phones ya phir cloud men mehfooz hoti hai jese ke Amazon, Google, RacSpace aur Facebook.

Agar aap khud se ye maloomaat mehfooz kerna chahen ge to aap ko ye sab buhat mehnga parega lekin yahi kaam jab aap third parties k zariay kerte hen to ye sab kerne ki qeemat buhat kam hoti hai.

Is puranay system k kuch faiday hen to kuch nuksanaat bhi hain. jese k agar kisi hacker ya ghair zuroori shaks k pass aap ki zaati maloomat ajai to aap ko nuqsaan ho sakta hai kyun k is ko istamaal kerne k liye aap ko naa hi btagya or naa hi aap se ijaazat li gyi.

Brian Behlendorf, jinhone ke Apache Server banaya sab se zyada istamaal hone wala server he jis k zariay website host ki jati hain. Un k lafzon men internet ka maqsad shuru din se yahi tha k ye decentralized hota yani k koi bhi idaara ya tanzeem is ko control na kre.

Ethereum bhi kuch aisa hee kerna chahti hai k ye rivaaiti karobar ko decentralized (yani koi markaz is ko control na kre).

Jese k bitcoin ne rivaaiti karobar PayPal aur Online Banking ko mushkil men daala usee tarah Ethereum blockchain ko use kerte hue third party companies jin k pass is waqt aap ka data mehfooz hota he un ko tabdeel kerna chahta hai. Aap ki zaati information (maloomaat) hazaron nodes pe save hoti hai jo k razakarana tor pe logon k computers pe hoti hai isee liye Ethereum ko “World Computer” bhi kaha jata hai.

Log is infrastructure ka faida uthatay hue is kaabil hojainge k apne products or services offer karsaken.

Is waqt aap ye farz kar skte hain k aap jab Apps download karte hain to ye ikhtiaar Google or Apple k pass hota hai k aap konsi App download karen kyun k ye un k Algorithm k uper munhasir he k aap ko konsi Apps pehli dikhai jain.

Google or Apple k pass ye ikhtiaar hai k wo koi bhi App ban kerde. Lekin Ethereum k baad ye ikhtiaar user k pass ajaiga.

Ek aur misaal Evernote or Google Docs ki hai. Is waqt ye companies k pass aap ka data hota hai. Lekin Ethereum k baad ye information kisi ek idaaray k pass nhi hogi aur aap wo information kabhi lose nhi karenge. Ethereum k zariay aap apne data k maalik hone na k koi third party.Ethereum

Coin Marketplace

STEEM 0.27
TRX 0.13
JST 0.032
BTC 63088.03
ETH 2952.86
USDT 1.00
SBD 3.55