Akhir kab badhega steem

in #life5 years ago

Bhaaiyo aaj kya baat karu yaar paise ki bahut jarurat thi aur steem ka rate kam hota jaa raha hai. Main socha tha steem sell karunga thoda lekin iss ka rate to aur kam hota jaa raha hai. Bitcoin ka rate to thik thaak hai utna jyada nahi gira hai lekin steem girta jaa raha hai. Waise steem se jyada dusra coin gira nahi hai. Pata nahi steem ko kya hua hai ki ye itna jyada gir raha hai. 


Image source

Main socha tha thoda steem badh jaata to maja aa jata. Kaise na kaise ye 0.50 tak gaya tha lekin pata nahi $1 ka kab hoga. Main to ab umeed bhi nahi karta hoon ki ye $8 ka dubara ho paayega. Waise SMT aayega to ye mumkin hai lekin SMT to kab aayega samajh hi nahi aata hai. Ye log baar baar samay badhaate rahte hai isliye mujhe samajh nahi aata hai ki SMT leke aayenge bhi ki nahi leke aayenge. 

Socha tha iss saal ameer ban jaaunga.
Main to iss plan me tha ki iss saal main ameer ban jaaunga lekin aisa lagta nahi hai. Waise main to yahi soch raha tha ki pichle saal hi main ameer ban jaaunga lekin aisa hua nahi. Iss saal bhi yahi umeed hai ki iss saal bhi mera kuch nahi ho sakta hai. Ab kya kar sakte hai iss saal bhi rate nahi badhne wala hai. 

Waise to bahut log kah rahe hai ki iss saal steem $4 ka hoga. Ho gaya to bahut achha hoga main to khushi se paagal ho jaaunga. Kya aap ko lagta hai ki iss saal steem $4 ka ho jaayega. Mujhe to lagta hi nahi hai ki hoga lekin ho gaya na bhai to main 1 kilo mithaayi bhagwaan ko chadaunga. Ab dekho hota hai to kab hota hai bas ho jaaye yaar to maja hi aa jaayega. 


Image source

Bitcoin to achha pump hua hai.
Ye bahut achhi baat hai ki bahut samay ke baad bitcoin thoda pump hua hai. Isi ke saath ye 5k tak pahuch gaya hai ab dekho aage kya hota hai aage ye fir se badhta hai ki nahi. Waise aap ko yaad hai jab bitcoin 6000 ke aas pass ghum raha tha tabhi steem ka rate 0.75 ke aas paas tha aur aaj dekh lijiye steem ka rate kitna chal raha hai. Bahut niche hai yaar steem ka rate samajh me nahi aa raha hai itna niche kyo hai. 

Bas duwa karo iss saal steem ka rate $4 ka ho jaaye fir to ek dum maja hi aa jaayega. Achha aap ko SMT ka kuch pata hai to jarur batana yaar ye aayega ki nahi aayega. Aayega to kab tak aayega koi update hai to batao mujhe bhi. Pahle steemit waale update karte rahte they lekin ab to karte hi nahi hai aisa lagta hai jaise SMT ko bhul hi gaye hai. 

Sort:  

You got a 30.39% upvote from @minnowvotes courtesy of @akshaykumar12257!

Coin Marketplace

STEEM 0.30
TRX 0.12
JST 0.034
BTC 63960.62
ETH 3142.95
USDT 1.00
SBD 3.95