ITR file nahi ki to aise kare

in #life6 years ago

Bhaaiyo ITR file ki ya nahi aap ko pata hai na 31 July last date hai aur iss se pahle ITR nahi bhara to problem ho sakti hai. Agar aap ne ITR file nahi ki hai to aap online kar sakte hai chaliye aaj main aap ko online ITR file karne ka process batata hoon. 

Image Source

Agar aap ITR file karne jaa rahe hai to aap in chijo ka khaas kar dhyaan rakhe kahi iss me koi gadbad na ho. 

  • Aapke pass form 16 hona chahye. 
  • Bank accounts ki jankaari
  • Tax aur income se jude sabhi documents

Ye jaruri chije hai inhe dhyaan se dekh le samajh le aur uske baad hi ITR bhare iss me galti nahi hona chahye warna aap ko hi pareshaani ho sakti hai. Ab aage ka process batata hoon main aap ko kya kya aap ko karna hai. 

Sab se pahle aap ko https://www.incometaxindiaefiling.gov.in/home iss website par jaana hai. Agar aap ne iss website me ab tak sign up nahi kiya hai to waha aap ko register ka option mil jaayega to aap sab se pahle register ho jaaye. Register hone ke liye aap ko pan card ki jarurat padegi aur pan card hi aap ka username ban jaayega. 

Chaliye pahle aap sign up kar lijiye baaki ki baate main agle post me share kar ke bataunga. Thik hai na bhaaiyo aur agar register na ho to aap mujh se puch sakte hai. 

Sort:  

Perfect blog for itr filing

Coin Marketplace

STEEM 0.29
TRX 0.12
JST 0.033
BTC 62937.86
ETH 3092.40
USDT 1.00
SBD 3.87