Online fraud se bach ke.

in #life5 years ago

Aaj kal bahut se scam call aate hai aur wo kahte hai ki wo bank se bol rahe hai uske baad aap ki bank ki details wagera maangte hai aap ke debit aur credit card ke details wagera maangte hai. Wo itne safaayi se baat karte hai itne achhe se baat karte hai ki aap ko un par bharosa ho jaayega aur aap unko apna sara details de dijiyega. Bade bade logo ko aise bewakoof bana chuke hai log isliye inse bach ke. 


Image source

Ek din mujhe bhi aa chuka hai call.
Mujhe bhi ek bande ne call kiya tha aur kaha ki aap ka debit card band ho gaya hai iss ko cancel kar diya gaya hai aap ko ab apni cards ki details deni hogi. Yaha se fir aap ko new card bhej diya jaayega. Lekin mujhe in sab chijo ke baare me pahle hi pata tha main pahle hi news me ye sab scam ke baare me suna hoon. 

Isliye maine bande ko 2 gaaliya di aur phone kaat diya fir main ATM gaya aur apna card check ki mera card mast kaam kar raha tha. Wo banda phone kar ke bol raha tha ki aap ka card band kar diya gaya hai lekin ab tak mera card mast chal raha hai. Pata nahi aise aise bande kaha se paida ho jaate hai dusro ki mehnat ke paise udaane me inko bahut maja aata hai. 

Ek doctor ke 3 lakh udaa diye.
Aaj hi maine news me dekha ek bande ne ek doctor ko call kiya aur kaha aap ke account me kuch gadbadi hai aur aise hi baat karte karte usne doctor ka account number le liya fir doctor ke mobile me ek message send kiya aur kaha ki ye message usko forward kare. Doctor ne wo message usko forward kar diya aur fir jo hua wo doctor dekh kar hairaan ho gaya uske bank me 3 lakh they sab udd gaye. 


Image source

Bataiye bande ne doctor ke paise udaa diye fir humara kya hoga. Isliye main aap ko saudhaan karna chahta hoon ki aap sabhi log bach ke rahe. Bank waale kabhi call nahi karte hai, agar aisa koi call aaye to unse kahna hum bank me jaa ke sidha baat kar lenge. 

Police ne uss bande ko arrest kar liya jiss ne doctor ke 3 lakh udaa diye they. Abhi banda jail me hai, doctor ne deri nahi ki aur police ko jaa ke iss ki sikayat ki fir police ne maamle ki jaanch ki aur jiss account me paise gaye usko pakad liya. Yahi agar usne shopping ki hoti to fir dikkat hota usko pakadne me lekin paisa usne apne hi bank me daala isliye bechara fas gaya maamu. 

Sort:  

To listen to the audio version of this article click on the play image.

Brought to you by @tts. If you find it useful please consider upvoting this reply.

Coin Marketplace

STEEM 0.28
TRX 0.13
JST 0.032
BTC 60385.11
ETH 2889.75
USDT 1.00
SBD 3.65