***ZINDEGI KYA HAI***

in #life6 years ago

Zindagi kya hai

Ek pal rehna...aur dusre pal me kho jaana...iska naam zindagi hai..
Kuch paa kar khone ka naam zindagi hai-
Andhera aur ujale ka khel ka naam zindagi hai
Jo maanga jaaye usse naa pane ka naam zindagi hai.....
Jo naa paya jaay zindagi bhar ussi ka arman karna zindagi hai....

Jine aur marne ka beech ka waqt ka khel ka naam zindagi hai....
Raat mein takiye mei muh chupa kar rone ka naam zindagi hai....
Kisi ki aarman mein zindagi bita dena zindagi hai....
Kisi ko dur se khush dekhne ka naam zindagi hai....
Khud ko maar k kisi ko kgush karne ka naam zindagi hai

Insaan ki hai se tha ka safar ka naam zindagi hai.....
Aakele aane se aakele jaane tak ka safar zindagi hai....
Ek tasveer mein kaid rehne ka naam zindagi hai.....
Bebasi mein aahe bharne ka naam zindagi hai....
Aapne sapno ko zinda jala dene ka naam zindagi hai....

Upar se neeche jaane ka naam zindagi hai...
Neeche se phir upar aane ka naam bhi zindagi hai.....
Haar k haar naa maanne ka naam zindagi hai
Maaf karna aur pyaar baantne ka naam zindagi hai....
Chote chote khushi mein dil khol k hasne ka naam zindagi hai....

Tum jab iss duniya mein nehin rahoge....tab log agar tumhe yaad kar k muskuraye....issi ka naam zindagi hai.....

Coin Marketplace

STEEM 0.28
TRX 0.12
JST 0.033
BTC 70018.15
ETH 3794.54
USDT 1.00
SBD 3.75