TRAVEL : MATA VISHNO DEVI DHAM

in #travel6 years ago

hello freinds.......
I'am today New contain jai mata vishno devi dham from katra ........

YATRA STARTING DETALIS :

  • STARTING POINT
  • BHOJNALAY AND STAY KATRA
  • YATRA START
  • DARSHNI DARVAJA
  • BAN GANGA
  • CHARAN PADUKA
  • ARDHQWARI
  • HATHI MATHA
  • SAJHHI CHHAT
  • MATA KA DARBAR, DARSHAN
    IMG_20140513_053615.jpg

I WILL POSTING ABOUT THIS CONTAIN

*STARTING POINT:
frainds apko sabse pahle apne ghar se katra tak aana hoga. aur ushke bad aap "mata vishno devi" kei yatra shuru kar sakte hai.........

  • BHOJNALAY AND STAY KATRA:
    frainds phir aap kishi bhi louge ya hotel me room lekar aram kar sakte hai. aur sath me vanha par kishi achhe hotel me ya restorent me jakar bhojan kar sakte ho.......
  • YATRA STRAT AND DARSHNI DARVAJA:
    dosto yatra suru karne se pahle" jay mata di"...... yatra shuru karte hi sabse pahle" darshni darvaja" aata hai. aur pahle starting me parchi leni padti hai. aur vo parchi lekar ham sab apni yatra shru karte hai.
  • BAN GANGA :
    frainds "darshni darvaja" ke bad agla padav "ban ganga" ka hai. ban ganga me mata ne apne bal(kesh) dhoy the. ban ganga ko parkat mata ji ne dharti par ban markar kiya tha. jishse vir hanuman ji ki pyash bujai aur apne bal doye the.
  • CHARAN PADUKA:
    frainds "ban ganga" ke bad.mata ki pavan "charan paduka" ke darshan hote hai. yanha par mata ne apne piche mudkar aate berav baba ji ko dekha tha. tabhi se ye jagah mata ki charan paduka ke naam se parsidh hai. yanha pahunch kar bhakt gan mata ke pavan charan kamlo ka darshan karte hai.
  • ARDHQWARI:
    frainds "charn paduka" ke bad "ardhqwari" ki gufha ka pavan darshan hota hai. yanha par mata ne 9 months gujare theh. jishse mata ke piche berav baba se bachne ke liye. ishe mata ko garbhjoon gubha bhi kaha jata hai.
  • HATHIMATHHA AND SAJHHI CHHAT:
    frainds ishke bad apni yatra continue rakhte hai. mata ke darbar jane se pahle "hathhimathhe" ki chadhi shuru hoti hai. yah chadhi bahut hi unchhi aur kathin hai. and manobhavak hai. yanha se mata ka darbar saaf -saaf najar aata hai. ushke bad shjhi chhat aati hai. ynaha par yatrygan thoda rukar vishram karte hai. aur apna bhojan ya nashta pani karte hai.
  • MATA KA DARBAR AUR DARSHAN :
    freinds yanha tak pahuchane ke bad. "mata rani ka darbar" aata hai. aur pahuchane ke bad vanha par nahna padta hai. aur ushke bad lambi lien me khade hokar ke mata ke darbar me pahucha jata hai.aur ushke bad mata ke bhakto ko unke sakshhat darshan hote hai. aur jishke man me jishi shridha bhavna hoti hai. vesha phal prapt karte hai. aur yanha par mata vishno devi teen pindi roop me virajit hai. mata laxmi, mata kali, mata sarshvati ji, virajman hai. mata ke pavan darshan karane se sabhi bhakto ke har dukh aur paap hamesha ke liye mit jate hai.aur sukh, samridhi ke ssth apne ghar ko loot aate hai.....
                        doshto aaj ka treval mata vishno darhan. thanks waching and redding my contain 
                                                   
                                                      JAY MATA DI. JAY MATA DI. JAY MATA DE

Coin Marketplace

STEEM 0.31
TRX 0.12
JST 0.033
BTC 64605.91
ETH 3159.61
USDT 1.00
SBD 4.11